Agar aap apne desktop se recyclebin ke ikon ko hatana chahte hai to bas aapko niche gaye step follow karna hai
1. Sabse pehle Start button se Run command open kijiye aur wahan gpedit.msc type karke Ok kijiye.
2. Nayi window me User Configuration ko expand kijiye.
3. Ab Administrative Template ko expand kijiye.
4. Ab Desktop par click kijiye.
5. Right side me "Remove Recycle Bin icon from desktop" option ko find kijiye aur us par double click kijiye.
6. Nayi window me "Enabled" option ko select kijiye aur Apply kar dijiye.
Aur jab apko Icon wapas lana ho to fir se 5 step same follow kjiye aur 6th step me Not Configured ko select karke Apply kijiye.
No comments:
Post a Comment